Dahi Shakkar Lyrics – Srushti Tawade

Srushti Tawade’s Dahi Shakkar Lyrics. The song was sung and written by Srushti Tawade. Music was provided by Saurabh Lokhande.

Dahi Shakkar Lyrics – Srushti Tawade

Dahi Shakkar Song Details:

  • Song: Dahi Shakkar
  • Singer: Srushti Tawade
  • Lyrics: Srushti Tawade
  • Music: Saurabh Lokhande

Dahi Shakkar Lyrics – Srushti Tawade


Hum paas hoke toote kyun?
Ye toh na socha tha
Har baat pe yu roothe kyun?
Ye toh na socha tha

Ab tujhko tere mujh ko mere apne ghar hai jaana
Toh kyu na has kar keh de alvida meri jaan
Bekaar ke jhagde-vagde karne se behtar hi hai na
Hum kyun na has kar keh de alvida?

Ladne ki kya hai zarurat?
Tu chaahe saath bhi reh mat
Chaahe bichhde hum dono
Par kadvi baatein keh mat

Sab baadme khalta hai na?
Dimaag mein chalta hai na?
Ab se din theek se guzre,
Itna toh banta hai na?

Kuch toh badlega, hai na?
Farq padega, hai na?
Jaane se pehle ho jaaye zara sa
Dahi shakkar, dahi shakkar

Naata ab todd ke jaana
Thoda aasaan hai na?
Jaane se pehle ho jaaye zara sa
Dahi shakkar, dahi shakkar

Aa, hum sauda kare ik dafa, dafa
Bichhdenge magar na honge khafa, khafa
Kuch vaade, meri majburiya,
Chaahe jitne bhi ho hum judaa
Kuch yaadein hamaari zaroori rahengi sada, sada

Ghar jaakar ab na rona
Bistar se door na sona
Sapno mein aane dena
Itne bhi door na hona

Naata ho khaak baraabar
Chaahe na saath raha kar
Keh dena jhooth saraasar
Bas meethi baat kara kar

Kuch toh badlega, hai na?
Farq padega, hai na?
Jaane se pehle ho jaaye zara sa
Dahi shakkar, dahi shakkar

Naata ab todh ke jaana
Thoda aasaan hai na?
Jaane se pehle ho jaaye zara sa
Dahi shakkar, dahi shakkar

Just cause we wanna break apart
Why would we wanna do the things that break a heart?
Why would we wanna say a word that hurts?
Just cause we wanna break apart,
Why would we wanna do the things that break a heart?
Why would we wanna say a word that hurts?


If there is a correction in the lyrics let me know in the comments. Thank you!
Previous
Next Post »

Please Do Not Spam on The Comment Box EmoticonEmoticon