Bhagwan Aur Khuda Lyrics - Manoj Bajpayee

Manoj Bajpayee’s Bhagwan Aur Khuda Lyrics. Lyris to this poem was given by Milap Milan Zaveri and its Narrated by Manoj Bajpayee.

Bhagwan Aur Khuda - Manoj Bajpayee

Bhagwan Aur Khuda Details:

  • Title: Bhagwan Aur Khuda
  • Written & Conceived by: Milap Milan Zaveri
  • Music: Lijo George
  • Poem Narrated by: Manoj Bajpayee
  • Music Supervisor: Azeem Dayani

Bhagwan Aur Khuda Lyrics - Manoj Bajpayee

Bhagwan aur khuda
Aapas mein baat kar rahe the
Mandir aur masjid ke bich
Chaurahe par mulaqaat kar rahe the

Ke haath jode ho ya dua mein uthe
Koyi fark nahi padta hai
Koyi mantra padhta hai
Toh koyi namaaz padhta hai

Insaan ko kyun nahi aati sharam hai
Jab woh bandook dikha kar poochhta hai
Ki kya tera dharam hai

Uss bandook se nikli goli
Na eid dekhti hai na holi
Sadak pe bas sajti hai
Begunah khoon ki holi

Bhagwan aur khuda
Aapas mein baat kar rahe the
Mandir aur masjid ke bich
Chaurahe par mulaqaat kar rahe the

Sab ko hum dono ne issi mitti se banaya
Koi janma ammy ki kokh se
To koyi maa ke god mein rota aaya
Kon hai woh kambakht
Jisne nafrat ka paath padhaya

Kisi akbar ko kaha maa ko maar
Aur amar ko haatho ammi ko marwaya

Mamta ka gala goth ne wale bewkoofon ko
Koi samjhaao mazhub ki is jang mein
Tumne insaniyat ko dafnaya

Bhagwan aur khuda
Aapas mein baat kar rahe the
Mandir aur masjid ke bich
Chaurahe par mulaqaat kar rahe the

Previous
Next Post »

Please Do Not Spam on The Comment Box EmoticonEmoticon